The Snake and the Earthworm: When the Crowd Becomes the Judge
Peepalped is my personal creative portfolio, showcasing my original work across journalism, articles, stories, poetry, quotes, photography, illustrations, videos, audio, and documents. It reflects my ideas, creativity, observations, and perspectives on media, politics, society, and human behaviour.
Yeh pehli baar tha jab university mein aane ke baad koi program hone wala tha. Yeh karyakram do dinon ka tha. Karyakram ka sheershak tha ‘Prerna’, jo Vishwavidyalaya evam Nirala Srijanpeeth Sahitya Akademi, Madhya Pradesh Sanskriti Parishad, Madhya Pradesh Shasan, Sanskriti Vibhag dwara aayojit kiya gaya.
Karyakram mein sammilit hone wale mukhya atithiyon mein Doctor Shri Ram Parihar, jo ek prasiddh lalit nibandhkar hain, aap kai puraskaron se navaaze ja chuke hain. Doctor Vikas Dave ji, jo ki Sahitya Akademi Madhya Pradesh ke nideshak hain aur achhe baal sahityakar bhi hain. Shri Rakesh Sharma ji, jo Veena patrika ke sampadak hain, aur Shrimati Rita Singh ji, jo ki prasiddh lekhika hain.
Jis din se is karyakram ke baare mein pata chala, humne taiyariyan shuru kar di. Saare mehmaan pehle hi aa chuke the aur guest room mein thahre the. Hum sab aur hamare ek senior subah ke naashte ki vyavastha karne wahan gaye aur naashte ki vyavastha karwayi aur khud bhi kiya.
Guest house mein Shri Ram Prasad Baiga ji ki pratima thi. Tabhi Shri Ram Parihar ji hum sab ko bulakar hamare department aur phir Shri Ram Prasad Baiga ji ke baare mein poochhte hain, par hum mein se koi bhi unke baare mein nahi jaanta tha. Yeh baat ekdum chhoti si thi, par badi thi ki kis tarah hum apne itihaas aur apne sahitya ko nazarandaaz kar dete hain. Khaaskar tab bhi, jab woh hamari nazron ke saamne hota hai. Chunki is report ka sheershak “Sahitya kis tarah se hamare sanchar ka hissa hai” hai, toh inhi do divaseeya program ke nishkarshon ki charcha karenge.
Sahitya aur itihaas mein zara sa antar hota hai. Jahan ek or itihaas tathyon par aadharit hota hai, wahin sahitya poornatah tathyatmak na hokar kalpanatmak aur bhavnaon se bhara hua hota hai, aur yahi baat sahitya ko khoobsurat bana deti hai.
Is communication aur technology ke yug mein humne cheezon ko dekhne, sochne aur samajhne ka nazariya badal diya hai. Aisa lagta hai ki hum jaise saagar ke uthale bhaag mein bhatak rahe hain aur uski gehraai jaanne ki koshish hi nahi karte hain. Aur yahi chinta is do divaseeya karyakram ke dauraan un chintakon ki baaton mein nazar aa rahi thi.
Sahitya humein jodna sikhata hai. Yeh humein nazariya deta hai ki hum duniya ko kitni gehraai aur kitne tareekon se dekh sakte hain. Sahitya un chhoti-chhoti cheezon ko bhi samajhna sikhata hai, jinhein hum nazarandaaz kar dete hain.
Vaastavik baat karein toh aaj ke samay mein hum apni sanskriti aur apni bhasha ko bachaane ki baat karte hain aur kai log is par gambhir bhi hain, par vaastav mein in vishayon ke maayne vartamaan mein badal diye gaye hain. Aisa lagta hai ki ye vishay bas kehne ke liye aur raajneetik maamlon ke liye hain. Aap kisi aise vyakti se poochhkar dekhiye jo sanskriti ke naam par chilla raha ho, toh usse poochhiye ki aap apni peechhe chhootti sanskriti mein kya-kya bachaana chahte hain? Unke paas koi logical jawaab nahi hoga, aur yahi kaaran hai ki humne apni sanskriti aur parampara ki achhi cheezon ko bhi peechhe chhod diya hai. Aur itihaas ke liye bhi bahut saari galtiyan paal rakhi hain.
Vaastav mein prashn yeh hai ki hum apni sanskriti, apne itihaas aur apne sahitya se seekhte kya hain aur aage kya badhaate hain.
Maine kai pratibhaagiyon ko dekha, jo door-door se aaye hue the aur apni rachnayein suna rahe the. Unhein dekhkar laga ki sahitya toh sabka hai. Kshamata, akshamata, achhi rachna-kharaab rachna se iska koi taalluk nahi hai. Sabhi apne ras mein doobe the aur santusht the.
Vaastav mein main sahitya ke baare mein itna nahi jaanta, jitna jaanana chahiye, ya yun kahein ki main kuchh bhi nahi jaanta. Par vaataavaran ko dekhkar andaaza lagaaya ja sakta hai ki samaaj mein kis tarah ka sahitya panap raha hai. Ya phir kahein ki woh kis tarah se badal gaya hai, aur yahi badlaav maine kuchh pratibhaagiyon ki veer ras ki kavitaon mein dekha. Aur roz dekhta hi rehta hoon.
Ek itihaas tha, jab humein zaroorat thi veer ras ki, aur veer ras se bhare sahitya bhi bahut achhe lagte the. Aur aaj bhi inhein padhke rom sihar uthte hain. Main yeh nahi kehta ki veer ras ki zaroorat nahi honi chahiye. Zaroorat hai, par aaj ke samay ke hisaab se. Veer ras aisa ho, jo humein motivate kare. Vaastav mein aajkal veer ras ki kavitaayein hinsaatmak lagti hain, jo aaj ke samay ke liye sahi nahi hain.
Aur baat tab aur bigadne lagti hai, jab hum apne faisle bhi isi hisaab se karne lagte hain, jab itihaas ki ladaaiyon se seekh lene lagte hain aur phir jurm ke liye mrityudand maangne lagte hain.
Aaj ka yuva veer ras se itna prabhaavit hai ki iska namoona social media mein dekh sakte hain, ki kis tarah shaant rehne wale devi-devtaon ko background mein veer ras ka gaana lagakar raudra dikhaya jaata hai. Aur aise kai udaaharan hain, jo hum dekh sakte hain. Aur is baat ko nakaar bhi nahi sakte ki yeh hamari parivartansheel sanskriti ka hissa banta ja raha hai.
Itihaas ke saath-saath sahitya bhi chalta jaata hai aur yeh sanchar har peedhi mein hota rehta hai. Vaastav mein humein zaroorat hai ki hum is sanchar ko kis tarah aage badhaayein, taaki sahitya behtar se behtar hota jaaye.
Comments
Post a Comment