Posts

Showing posts from July 2, 2021

Post of the day!

Special:A short story of an old man

Image
 Special Subah ke do baje, ek rajneetik charcha ke beech, dhyaan stretcher par gaya. Main aur mere paas khade dono aparichit bhi stretcher ke paas gaye. Woh ek boodha aadmi tha, lagbhag 60 saal ka, sir par baal nahi the, kapde matmaile the aur shareer bhi, pant ka hook khula tha. Dekhkar lag raha tha ki, ‘woh gareeb hai’. Pehle laga ki woh mar gaya hai, phir dhyaan diya toh woh saansein le raha tha. Nazar uske haathon ki ungliyon par gayi. Ek haath se usne apne doosre haath ki pichki hui chaaron ungliyan pakad rakhi thi, aur doosre haath ki shayad railway track par hi reh gayi thi. Khoon bahe ja raha tha aur woh bas thar-thar kaanp raha tha. Kuch log photo kheench rahe the, main bhi baar-baar apni pant ki jeb tatol raha tha, taaki mobile nikaalkar video bana sakoon, par nahi kar paaya. Ambulance aa chuki thi. Ek policewaale ne mujhe apna phone diya, boodhe ko le jaate waqt ki tasveer kheenchne ke liye. Maine tasveerein leen. Usko ambulance ki beech ki seat mein letaaya gaya, bheed ...

When Death Feels Like an Option: Understanding the Silence Behind Suicide

Image
When Death Feels Like an Option: Understanding the Silence Behind Suicide Kabhi-kabhi sochta hoon, woh kya hai jisse maut bhi chhoti lagne lagti hai. Kya sach mein koi raasta nahi hota hai? Aur agar raasta hai toh kya hai, aur ye usse pata kaise chalega jo marne ke liye soch raha hai? Maine aisi kai ghatnayein dekhi hain, jismein suicide karne ki koshish karne wala hamesha sahaanubhuti ke liye tarasta hai. Koi use paagal kehne lagta hai, toh koi kehta hai ki chakkar chal raha hoga, toh koi kehta hai itni jaldi haar maan li, toh koi kehta hai ye bewakoofi hai aur na jaane kya-kya? Par hamare samaajjeevi ye jaanne ki koshish nahi karte ki woh jo karne ki koshish kar raha tha, woh kyun hai? Aur reason jaan bhi gaya, toh apne hi banaye jawaab ke saath daba diya jaata hai. Vaastav mein apne aap ko maar dene ka khayal aana, un dino mein hamare saath kya hua aur kis ghatna ke kaaran hum aisa karne ja rahe hain, hi ek kaaran nahi hai, balki ye hamare bachpan se lekar ab tak ka vishay hai. Ye v...