Posts

Showing posts from October 20, 2026

Post of the day!

Nadia: A Story of Survival, Betrayal, and Dignity

Image
NADIA Ammi ke guzar jaane ke baad Nadia ki padhai ruk gayi thi. Laga jaise woh ab Abbu ke liye bojh ho gayi ho. Dasvi tak aate-aate uski shaadi karwa di gayi. Tab woh sirf pandrah saal ki thi, aur dasvi bhi poori nahi kar paayi. Shaadi bhi jisse hui, woh usse das saal bada tha. Apne naam ki hi tarah woh bhi bahut komal thi. Padhai chhootne par bahut dukhi hui thi. Apni Ammi se usne bahut kuch seekha tha, ya yun kahein ki woh samay se pehle hi samajhdaar ho gayi thi. Bas dukh is baat ka tha ki uski samajhdari ko pankh nahi mil paaye kabhi. Sasural mein aksar Afzal usko peeta karta tha, uske saath bura bartaav kiya karta tha. Ghar ke halaat khastahaal the, saare paise sharaab mein udaaye ja rahe the. Solahvein saal mein hote-hote Nadia ne ek beti ko janm diya. Janm dete hue bhi woh marte-marte bachi. Ab nanhi Nadia maa ban chuki thi. Bhala solah saal mein maa kaun banta hai? Phir bhi uska mamta jag chuka tha. Ab woh kahin door jaana chahti thi, jahaan apni ladki ka aane waala bhavish...

The Jungle's Peace: A Story of Rebellion, Revolution, and Hypocrisy

Image
  The Jungle's Peace Ek baar jungle mein bhayankar sookha pada, chaaron taraf hahakaar mach gaya, khaane ki kami pad gayi, saare shaakahari pareshaan ho gaye. Naubat ye aayi ki kuchh shaakahariyon ne doosre shaakahariyon ko khaana shuru kar diya, aur unhein meat itna pasand aaya ki woh meat eaters ban gaye. Woh shaakahariyon ko maarna shuru kar diya, aur unko gulaam bana liya. Har shaakahari, meat eaters se darne laga. Yeh baat shaakahariyon ke ek dal se bardaasht nahi hui, aur usne baghaawat kar di. Us dal ne thaan liya ki woh meat eaters ko jaise ko taisa jawaab denge. Aise mein shaakahariyon ke us dal ne meat eaters par hamla karna shuru kar diya. Bahut ladaaiyaan hui, aur us dal ne bhi maans ka swaad chakha aur maansaahaari ban gaya. Tab se yahi chalne laga. Shaakahari apne dal ko bachaane ke liye baghaawat karte, aur khud maansaahaari ban jaate. Jungle mein araajakta phail gayi... Kuchh buddhijeevi, jo is araajakta ko bardaasht nahi kar sake, unhone jungle mein kraanti...