Nadia: A Story of Survival, Betrayal, and Dignity
NADIA Ammi ke guzar jaane ke baad Nadia ki padhai ruk gayi thi. Laga jaise woh ab Abbu ke liye bojh ho gayi ho. Dasvi tak aate-aate uski shaadi karwa di gayi. Tab woh sirf pandrah saal ki thi, aur dasvi bhi poori nahi kar paayi. Shaadi bhi jisse hui, woh usse das saal bada tha. Apne naam ki hi tarah woh bhi bahut komal thi. Padhai chhootne par bahut dukhi hui thi. Apni Ammi se usne bahut kuch seekha tha, ya yun kahein ki woh samay se pehle hi samajhdaar ho gayi thi. Bas dukh is baat ka tha ki uski samajhdari ko pankh nahi mil paaye kabhi. Sasural mein aksar Afzal usko peeta karta tha, uske saath bura bartaav kiya karta tha. Ghar ke halaat khastahaal the, saare paise sharaab mein udaaye ja rahe the. Solahvein saal mein hote-hote Nadia ne ek beti ko janm diya. Janm dete hue bhi woh marte-marte bachi. Ab nanhi Nadia maa ban chuki thi. Bhala solah saal mein maa kaun banta hai? Phir bhi uska mamta jag chuka tha. Ab woh kahin door jaana chahti thi, jahaan apni ladki ka aane waala bhavish...